google.com, pub-1141838588625601, DIRECT, f08c47fec0942fa0 content_copy Copy check_box_outline_blank/> Copy Copy Copy "google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> Vachi news : Vachi news

संपर्क फ़ॉर्म

नाम

ईमेल *

संदेश *

Vachi news लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Vachi news लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Nasiruddhin Shah Ki Kahani

Jab news room ne thukra diya tha cinema ne unhe apnaya. 



Bhartiya filmo me Nasiruddhin Shah ki pahchan ek manjhe hue abhineta ki he. Jo abhinay k alawa Sanam, rajniti or cinema pr apne bayano ki wajah se surkhiya batorte rahe he. 


Jaha filmi dunia k log sambhal kar bolna pasand karte the wahi Nasiruddhin Shah apne bebak bayano k liye mashhoor he. Saaf shabdo me apni bt kahne wale Nasiruddhin Shah 20 july ko 75 saal k ho gaye he. 



50 saal unhone cinema me kaam kiya. 1975 me jab Nasiruddhin Shah ki pahli film nishant release hui to vah khush nhi hue. 



Durdarshan ne unhe angreji or hindi samachar vachak k tour per rejected kr diya tha, un dino unki ek sah abhinetri smita patil durdarshan per marathi samachar per naam kama rahi thi. 



Halanki Nasiruddhin Shah ki apne pita se kabhi nahi bani, unke pita chahte the ki nasir ek acha, paramparik carrier apnaye .



Apni aatmkatha 'And Than One Day' me Nasiruddhin Shah ne likha he, mere pita angrejo ki tarah rahte the. Sardhana jese kasbe me bhi wo bina heat k bahar nahi nikalte the, wo hame pese se kharidi jane wali sbse achi shiksha dilwana chahte the. Wo pashto or farsi k sath sath achi angreji bhi bolte the lekin unhone hame kabhi bhi pashto ya farsi sikhane ki jarurat nahi samjhi. 


Apni maa k the jyada karib 



Nasiruddhin Shah ne apni aatm katha me apni maa k sath kuch bhavuk palo ko yad kiya. 


Wo pita ki tulna me maa k jyada karib the. Unka gussa mashhoor tha jiske samne unke pita bhi nhi thaher pate the. Unhone maa k bare me kaha he, "jab mere pita se mera samwad bilkul khatm ho gaya, meri maa hi muje sahara deti thi. "



Maa k sath apne rishte k bare me unhone likha he, "jab mujhe padm puraskar se sammanit kiya gaya tha to me unhe apne sath rashtr pati bhawan leker gaya tha. Meri almari me abhi tak unka ek dupatta rakha hua he. Meri zindgi ka sbse sukoon ka pal tab hota tha jab wo apne dupatte ke ek kone ko apni sans se garm kar meri palko per lagati thi !"



Aligad vishvvidhyalay me padhi k doran unki mulakat pakistan ki nagrik Parvin morad se hui thi. 

Uss samay unki umr 19 varsh ki thi iske bawjud unhone apne se karib 15 saal badi parvin k samne naa kewal shadi ka prastav rakha balki dono ne shadi bhi ki. 



Nasir likhte he wo dekhne me bhot achi nhi thi lekin unka pahnawa mujhe aakrasht karta tha. Wo bhut jyada hasa karti thi. 



1 Nov 1969 ko humne kisi ko bataye bina shadi kr li. Bd me mere pita ko hamari shadi k bare me pata chala to unhone mujhe 'Bhola bewkuf ' kaha. 



Nasir apni aatmkatha me swekar krte he ki unhe apni beti se hi jalan peda ho gai. Unhe ye baat aahat krne lagi ki wo apni patni k jivan me ab sbse mahatvpurn vyakti nahi rahe. Parveen k liye unka sammohan kam hota chala gaya. 

Wcl me Bharat Pakistan match Raddh, Janiye Shikher Dhawan ne kyu kaha - Aaj Bhi Usi kadam Per Hu.

Bharat or Pakistan match per Shikhar Dhawan ne sbse phle social media per post kiya tha England me chal rahi world championship of legeds iss waqt surkhiyo me he or iski charcha ki wajah he - India championship or Pakistan championship ka match. T-20 matcho ki is private cricket leeg me 6 teeme shamil he jinme dunia k alag alag mulko k purv cricketers khelte he. Iss cricket leeg me sunday ko bhartiya samayanusar raat 9 baje ajbeston me Bharat or Pakistan ki teemo ko bhidna tha lekin phle hi match raddh kr diya gaya. Media reports k mutabik, pahalgaam hamle or Bharat, Pakistan sangharsh ki wajah se kai bhartiya cricketers ne Pakistan k khilaf match khelne se mana ker diya jiske baad ise raddh karne ka fesla liya gaya. Iss mamle me purv bhartiya cricketer Shikher dhawan ne apne Account per saf - saf kaha he ki me Pakistan ke khilaf koi match nhi khelunga. Jane kya he pura mamla - Yuvraj singh ne DCL ki sponcer company Is My Trip k bayan ko sajha kiya! WCL ne Raviwar subah ko apne account per ek bayan sajha kiya jisme Bharat or Pakistan match ko raddh karne k bare me bataya gaya he. Iss bayan me leeg ne ye bhi kaha he ki uska irada Bharatiya cricket legends ko asahaj krne ka nahi tha, wo to sirf dunia bhar k logo k bich kuch khushi ki yaad teyar karna chahte the. Iske sath hi WCL k bayan me un logo se maafi mangi gai jinki bhavnaye isse aahat hui he. Iss bayan se pahle der rat purv bhartiya cricketer Shikher dhawan ne apne X Account per ek post kiya tha unhone Isme ek Email k screenshot ko share kiya tha. Sath hi Shikher dhawan ne caption me likha, "jo kadam 11 may ko liya, uss per aaj bhi wese hi khada hu. Mera desh mere liye sab kuch he or desh se badhkar kuch nahi hota. " Email k screenshot me suchit kiya gaya ki 11 may 2025 ko shikher dhawan ne vah aagami WCL leeg me Pakistan k khilaf kisi bhi match me bhag nahi lenge. Sath hi Email me likha tha ki Bharat or Pakistan k bich ba dte tanav or bhu rajnetik sthiti ko leker yah fesla liya gaya tha. Sponcer ne bhi piche khiche hath Online travel company is my trip ne bhi der rat ex per bayan jari kar kaha ki wah Pakistan k khilaf kisi bhi WCL match me shamil nhi rahegi. Company k adhikarik bayan me kaha gaya ki 2 saal pahle world championship of legeds k sath 5 saal ka sponcership samjhota karne k bawjud is my trip me spasht kiya he ki wah Pakistan se jude koi bhi match ka samarthan nahi karega or na hi usme bhag lega. Hum India champions ka samarthan garv se jari rakhte he or apni team k sath majbuti se khade he. Lekin ek siddhant k tour par, hum koi bhi ese match ka samarthan ya prachar nahi karte jisme Pakistan shamil ho. Company ne kaha ki usne apna ye rukh WCL ki team ko shuruwat se hi spasht roop se bata diya tha. Is my trip ne dohraya ki vah kewal team India ka samarthan karti he or Pakistan k khilaf kisi bhi match me shamil nhi hogi. Bayan ke akhir me company ne jo likha wo dil ko sukun dene wala tha - Chalo cup ghar laye, bharat hamesha pahle. " Charcha me rahne wale khiladi - Kai media reports ne dawa kiya he ki India champion me shamil Harbhajan singh, Suren Rena or Usuf pathan jese khiladio ne sbse phle match se khud ko bahar kar liya tha. Harbhajan singh Rajya sabha or Usuf pathan loksabha sansad he. Wahi team me shamil yuvraj singh ne is my trip k ex per diye gaye bayan ko sajha kiya he. Is leeg ki website ke mutabik iske CEO or Founder harshit tomar he jo ki ek rapper bhi rahe he. Iske alawa CO - Founder k tour per website par abhineta Ajay Dewgan ka naam bhi darj he. Ye Iss leeg ka dusra season he. Pichle saal season me India champions ne Pakistan champions ko 5 wicket se haraya tha. Bharat - Pakistan k alawa Iss leeg ne Australia champions or West Indies champions shamil he. 22 April ko pahalgaam hamle k baad Bharat or Pakistan k bich seny sangharsh hua tha or tin din tak chalne k baad 10 may ko dono desho k bich sangharsh viram hua.

Bollywood Ka Sabse Handsome Ladka Kon He ?

Bollywood ka sabse handsome ladka Aarav Bhatia he, aarav bohot attractive he.