google.com, pub-1141838588625601, DIRECT, f08c47fec0942fa0 content_copy Copy check_box_outline_blank/> Copy Copy Copy "google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> Vachi news : big boss news winner. big boss fight.

संपर्क फ़ॉर्म

नाम

ईमेल *

संदेश *

big boss news winner. big boss fight. लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
big boss news winner. big boss fight. लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Big Boss Ko Leker Boli Tania Mittal Me TV Per Rona Chahti Hu.

Bussiness women se social media star bani tania mittal ab 'big boss 19' ki drama bhari dunia me apni kismat ajma rahi he. Pahle hafte me hi wo kai big boss ke ghar walo ko prabhavit karne me kamiyab rahi. Or kai wajaho se social media per viral bhi ho gai he. 


Salman Khan ke show me ane ka unka agenda bahot sidha he. Kartik Aryan jesa agla super star banna. Show me ane se pahle tanya ne India today se kaha, 'her koi mumbai ek hi maksad se aata he, kartik aryan ke baad, gwaliyar se koi super star nahi aaya, me us jagah ko bharna chahti hu.'



Taniya mittal ne bataya ki unhone show me aane se pahle show ke bare me janne ki koshish nahi ki, kuki wah mushkilo ka samna karne me yakin rakhti he. Halanki unke chahne walo ne unhe ek saaf salah di he. Unhone mujhe show se garima ke sath baher aane ko kaha, jhagda mat karo or sirf camere ke liye hi apni pahchan banane ki koshish mat karo. Ek din me baher ho jao, lekin jese ho wese hi baher aao or hamesha khush raho. '



Aalochna ko leker kya boli ?


Haal hi me tania mittal ne pahalgaam aatanki hamle ko leker bayan diya tha. Jiske baad unka kafi virodh hua. Or unhone naa sirf bade - bade vigyapano ko gawana pada balki up or mp tourism ne unse nata tod liya, ise lekar tanya ne kaha, me niyati me vishwas rakhti hu, agr esa nahi hota to wah salman khan ke sath nahi khadi hoti. Jab koi chiz chali jati he to Iska matlab he ki wah kisi behtar chiz ke liye jagah bana rahi he. 



Jis pal se contract toot gaye mujhe jharkhand or kuch anya rajy mil gaye or ager unhone mujhe nahi choda hota to me big boss me salman ke show me nahi hoti me bachpan se hi unki fan rahi hu. '



Kya tanya big boss ki 'boss' bnne me kamyab hogi ?


Tanya mittle ne aage kaha ki wah is vishwas ke sath show me aai he ki wah trophy ghar la sakti he, winner wah nahi hota jiske pass trophy hoti he, winner wah hota he jo apni kamiyo ko swikar karta he, ab tak me sirf apni acchaiyo ko janti thi. Big boss mujhe meri kamjoriya dikhayega, jese hi me un per kaam karungi me vijeta ban jaungi. '



Tanya ka manna he ki big boss ki audians instagram per mojud generation z ki bhid me bhot alag he. Unka manna he ki yah season unhe saas bahu pidi se jodega or chuki wah khud ko 'ghar ki parwati' manti he, isliye unhe unka pyar jitne ka pura bharosa he. Unke liye yah show sirf astitv ke bare me nahi, balki manyata ke bare me bhi he. Social media ke baad wah big boss ke ghar me bhi pramanikta or vastwikta lana chahti he taki darshak unhe unki asli pahchan dikha sake. 



Big boss ko leker kya boli tanya ?


Jab tanya se yah sawal kiya gaya ki kya wah un jhagdo ke liye teyar he jinke liye big boss badnam he tab tanya ne iss per muskurate hue kaha, ' me sach me TV per rona chahti hu. Mujhe yaad nahi ki aakhri baar kab roi thi. Ab bhot ho gaya ek majbut orat ka kirdar nibhana. Ab me or bhi jyada logo ke sath ghulna milna chahti hu. Log yah bhi mante he ki me bhot hi pyari hu. Lekin mera gussa hamesha mere pero tale jammen per rahta he isliye, mere star se baher ki koi bhi baat , unhe jhelni padegi. 

Bollywood Ka Sabse Handsome Ladka Kon He ?

Bollywood ka sabse handsome ladka Aarav Bhatia he, aarav bohot attractive he.