google.com, pub-1141838588625601, DIRECT, f08c47fec0942fa0 content_copy Copy check_box_outline_blank/> Copy Copy Copy "google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> Vachi news : Bollywood news

संपर्क फ़ॉर्म

नाम

ईमेल *

संदेश *

Bollywood news लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Bollywood news लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Raj Kundra Or Shilpa Shetti Ke Khilaf 60 Corror Ki Dhoka Dhadi Ka Mamla Jise Wakil Ne Galat Bataya He, Bayan Jari.

Bollywood abhinetri Shilpa Shetti or unke pati raj kundra ke uper corroro ki dhoka dhadi ka mamla samne aaya he. Shilpa raj or ek anya vyakti ke khilaf ek vyapari se dhoka dhadi karne ka mamla darj kiya gaya he. Yeh bhi bataya ja raha he ki ye dhoka dhadi 60 corror tak ki hui he. 




Shilpa Raj Ki Mushkile Phir Badhi 



Mumbai police adhikari ka kahna he ki vyapari Depak kothari ne aarop lagaya he ki Shilpa or raj ne milkar unhe 60 corror se jyada ka chuna lagaya he. Kothari ne kaha he ki unhone Ye pesa 2015 se 2023 ke bich business badhane ke naam per diya tha, lekin ise niji kharcho me udaya gaya, ab mamle ki jaach EOW ko sopi gai he. 







Khabro ki mane to iski shikayat juhu niwasi 60 warshiy depak kothari ne darj karwai he. Wo lotas capital financial services ke director he. Unhone dawa kiya he ki ye nivesh soda shetti or kundra ki company jo ki ab band ho chuki he uski best deal TB Private limited se juda tha. 








Company ne dilaya tha bharosa 



Kothari ne bataya ki rajesh aary naam ke ek vyakti ne unka parichay raj kundra or shilpa shetti se karaya, jo home shopping or online retail plate form best deal tv private limited ke director the. Us samay kathit tour per shilpa or raj kundra ke paas company ke 87.6 % share the. Aaropiyo ne kathit tor per 12 % byaj per 75 corror rupaye ka loan manga, lekin baad me unhe higher taxation se bachne ke liye investment ke tor me dhanrashi lagane ke liye raji ker liya. Sath hi masic return or muldhan bhi dene ka bhrosa dilaya gaya. 







Company per chal rahi thi kaarywahi kothari ka dawa hai ki unhone april 2015 me ek share subscription samjhote ke tahat 31.9 corror rupaye September 2015 me ek purak samjhote ke tahat 28.53 corror rupaye transfer kiye. Fir me kaha gaya he ki 2016 april me personal guarantee dene ke bawjud shetti ne September 2016 me director pad se istifa de diya kothari ko baad me ye pata chala ki 2017 me ek anya samjhote per chuk karne ke karan company ke khilaf diwaliya pan ki kaarwai chal rahi thi. Filhal iss mamle ki jaach chal rahi he. 








Arman Malik 4 Mahilao Ke Pati He, COART Ne Saman BBheja Or Vaidhta Ka Saboot Manga

Youtuber or big boss OTT 2 fem arman malik ki badi mushkile patiyala coart ne arman malik or 4 anya logo ko 2 September ko hindu vivah adhiniyam ke kathit ullanghan or dharmik bhavnao ko thes pahuchane ke mamle me talab kiya gaya h. 






Coart ka ye saman patiyala ke wakil davindar rajput dwara dayar yachika per adharit he. Rajput ne coart ko bataya ki arman malik ne 4 shadiya ki he. Isme se ek shadi ek nabalik ladki se ki gai thi unhone kaha, isliye humne hindu vivah adhiniyam ke tahat yachika dayar ki, jisme unke khila kanuni karwahi ki mang ki gai he. 





Dusri yachika me, rajput ne aarop lagaya ki arman malik hindu Devi devtaao ka roop dharan kar ashlilta ko badhawa de rahe he. Jisse hinduo ki dharmik bhavnaye gahre roop se aahat hui he, or unhone coart se malik ke khilaf sakht kaarwai ka aadesh dene ka anurodh kiya, tarko or sabuto ki samiksha ke baad, coart ne ab 4 anya logo sahit arman malik ko 2 September ko coart me pesh hone ka aadesh diya he. Ye aadesh arman sahit unki mojuda patni Payal, kritika or purv patni shamil ke liye he. 







Arman Malik ki patniyo ke bare me kaha to un per ek patni ke sath baal vivah ka aarop he. Mahila ki pahchan sumitra ke roop me hui he, jisse arman ke 2 bacche he. Unki 2 mojuda patniya, Payal or kritika malik he. Ek patni ki pahchan lakshdeep ke roop me hui he yachika karta ka kahna he ki youtuber ko apni shadiyo ki vadhyta spasht krni chahiye. 







Davindar singh dwara dayar 3 mamle 


1. July 2025 me social media influencer or big boss OTT 3 pratiyogi payal malik ne ek instagram video se vivad khada kar diya tha. Isme unhone trishul or mukut jese paramparik pratiko ke sath devi kali ka roop dharan kiya hua tha. Dharmik bhavnao ko thes pahuchane ke mamla bhartiya nyay sanhita 299 k tahat un per mamla dayar kiya gaya. Ye video payal ne ab hata diya he. Is mamle ki sunwahi ab 21 august ko hogi. 





2. Dusra mamla bahu vivah ka he. Jisme 5 logo ko talab kiya gaya he. 





3. Tisra mamla IT act ke tahat he, jisme social media per galat samagri hatane ki mang ki gai he. Is mamle ki sunwai bhi usi judge, 2 September ko hi krenge. 





Arman Malik kon hai? 



Arman Malik ka asli naam sandeep hai. Wo hisar ke rahne wale he. Arman pahle private bank me kaam karte the. Fir wo dilhi shift ho gaye. Batour content creater unhone fam paya. YouTube per apne content ke sath sath apni 2 biwiyo or 4 bacho ki wajah se bhi arman malik famous hue Isi ke chalte big boss 'OTT 3' me unhe dekha gaya tha. Jiske sath arman ki fame me badhotari hui Isi show me arman sang unki dono patniya payal or kritika ko bhi dekha gaya. 

Work Out Or Routine Kesa Hona Chahiye Celebritie Ne Kya Kaha?

Jesa ki hum sabhi jante he work out ya physical activity hamare liye kafi jaruri he kuki yeh hamare sharir or dimag dono ke liye behad faydemand he jo hame kai bimariyo se bachati he or adhik energy, behtar mental sthiti or wait management or life quality shamil he. 



Lekin kuch logo ko workout k samay black out ki samasya ho jati he to kai ko anek samasya bhi hone lagti he. Iska ye matlab nahi he ki work out ki wajah se esa ho raha he balki ve log work out k samay kuch chizo ko andekha kar dete he jisse unhe ye samasya ho sakti he. 







Work out ke bare me janne ke liye hamne 3 celebrity fitness coach se jana ki ek acha work out setion kitni der ka hona chahiye, or isme kon kon si sawdhaniya rakhni chahiye?  To chahiye jante he...... 





Work Out Kesa Hona Chahiye? 



Kartik Aryan Ishan Khattar, or Shahid Kapoor k coach rahe sameer jora ne bataya ki 'work out ko yadi sahi tarike se kiya jaye to yah bimariyo se suraksha pradan karta he naa ki sharir ko nuksan pahuchata he. Aaj kal log kai ghanto tak work out karte he or rest nahi karte. Isse recovery nahi hoti he or masals loss hone lagta he. Iss liye bina certificate coach ki salah ke work out naa kare. Vah apki jarurat or intensity ke mutabik work out plan karke denge taki apko koi enjuri naa ho. Sath hi work out ke samay pani jarur pite rahe taki body dehydrate rahe. '




Hritik roshan, ayush sharma or shweta tiwari ke coach rahe prasad nand kumar shirke batate he ki hamesha work out ke samay hi nahi balki din bhar paryapt matra me pani pina chahiye. Yadi aap AC me bethte he to pani ki adhik jarurat pad sakti he. Kisi ke liye bhi work out ki intensity alag - alag ho sakti he lekin dhyan rakhe aap hamesha apni heart rate ko bhi monitor karte chale. Iske liye 220 umer Iss formule ko apnaye. Ye apki adhiktm heart rate rahna chahiye. Agar apki heart rate Isse adhik jaa rahi he to apko itna adhik intense workout nahi karna chahiye. 





Normal insan ke liye 45 minute ka work out bhi kafi hota hai lekin yadi aap ethlite nahi he to expert ke under me rahkar work out karna hi sahi hoga. '



Sonusood ke personal coach, or kapil sharma, kangana ranout jese kai celeb's ko training dene wale coach yogesh bhateja ne bataya ki aaj kal ke youngustors social media ko follow karte he or waha per kisi ki bhi baat maan kar work out or diet follow karna shuru kar dete he jo ki puri tarah galat he. Hame hamesha kisi expert ki salah leker hi work out karna chahiye apne kisi dost ya social media ko dekh kar apna sharir barbad nahi karna chahiye. Apni shamtao ke anusar hi work out kare warna hame bhavishya me kai pareshaniya ho sakti he. '





Sath hi yah bhi dhyan rakhe ki apki body well rested ho or hydrate bhi rahe. Wahi work out se pahle Lft, kft, tft, lipid profile ecg or urin culture test karaker apne coach ko jarur bataye, wo apko apki body ke mutabik sahi work out routine taiyar kar payega. 











'Hera Pheri 3' Me Paresh Rawal Bhi Dikhai Dene Wale He.

Actor ne khud confirm kar diya he ki wah bhot jald 'Hera pheri 3' me dikhai denge. Pichle kai dino se film 'Hera Pheri 3'surkhiyo me bani hui thi, or ab iska part - 3 bhi jald hi aane wala he. 








Jese hi Paresh Rawal k 'Hera pheri 3' me shamil hone ki baat unke fans ko pata lagi wah behad khush ho gye he. 







 Ek baar phir hame bade parde per Babu Bhaiya, Raju, or Shyam ki jodi dekhne ko milegi, Actor ne kaha isme koi creative difrencess nahi he or ye unka khudka liya hua fesla he, iske baad vivad kafi bad gaya. Akshay Kumar ne gambhir aarop lagate hue unhe 25 corror ka legal notice bheja.








 Lekin ab film ko leker fir se ek naya update samne aaya he ki iss film me babu bhaiya yani paresh rawal bhi najar aayenge. 








Iss baat ka jikar khud actor ne ek interview me kiya he. Priydarshan ki film se paresh rawal k bahar hone ki khabre samne aarahi thi, lekin ab abhineta ne film me wapsi ki khaber se apne fans ko khush kar diya he. 







'The Himanshu Mehta Show' me diye ek interview me unhone khud iss baat ki pushti ki he. Unhone yah bhi kaha he ki sabhi matbhed sulajh gaye he. 







 Paresh rawal : pahle bhi ane wali thi film jab unse pucha gaya ki kya 'hera feri 3' aage badh rahi he, to unhone kaha ki thoda ek dusre ko fine tube krna padta he kyoki wah sabhi creative log he jese - Akshay Kumar, Sunil Shetti ye sab mere dost he, ab unka ye video social media par kafi viral ho raha he or log ise khub pasand bhi kar rahe he.

Bollywood Ka Sabse Handsome Ladka Kon He ?

Bollywood ka sabse handsome ladka Aarav Bhatia he, aarav bohot attractive he.