google.com, pub-1141838588625601, DIRECT, f08c47fec0942fa0 content_copy Copy check_box_outline_blank/> Copy Copy Copy "google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> google-site-verification" content="WkUe0NBRPpZulNfPjXsZEQeQYwhQKti4R8qN1rQ7KGk" /> Vachi news : akshay kumar ki life style.

संपर्क फ़ॉर्म

नाम

ईमेल *

संदेश *

akshay kumar ki life style. लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
akshay kumar ki life style. लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Akshay Kumar Lifestyle :





Namaste dosto, aj hum bollywood ke super star Akshay Kumar ke bare me janne wale he. Wese actor akshay kumar ko kon nahi janta, akshay kumar ek ese actor he jo 57 saal ki age me bhi 35 saal ke hi najar aate he, aakhir akshay kumar esa kya karte he jisse wo aaj bhi itne feet he. 





90 ke dashak ke sabse handsome or aakarshak actor ki baat kare to akshay kumar yani khiladi kumar ka naam hi sabse pahle aata he, or sirf tab hi nahi balki aaj ke time me bhi akshay kumar ki fitness or khubsurti me kuch khas badlav nahi aaya he. Unhone aaj bhi apne aap ko puri tarah se maintain karke rakha hua he. Akshay Kumar ek ese actor he jo kafi furtile bhi he. 






Agar Akshay Kumar ke diet plan ki baat ki jaye, to break fast me wah ek glass dudh, fresh juice / paratha khana pasand karte he. Snacks me fruits, dry fruits or mix green vegetables lete he. lunch me daal, roti hari sabji or dahi khate he. Wahi dinner me soup hari sabjiyo ke sath salad ka sewan karte he. Yaha tak ki Unke khane me mirch bhi nhi hoti.





Akshay Kumar batate he ki wah sham 6 baje tak dinner kar lete he unka manna he ki sone se 4 ghnte pahle hi khana kha lena chahiye. Isse khane ko digest hone me pura time milta he. Akshay Kumar ek baar me bhot jyada nahi khate, balki wah thodi thodi der me kam matra me khana pasand karte he. Wah esi chijo ko khane me adhik shamil karte he jisse metabolism rate high ho. Wah mante he ki metabolism behtar hone se fitness sahi rahti he, or wait bhi control rahta he. Apni diet me akshay kumar sugar or salt ki matra bahot kam lete he. Wah kahte he ki healthy rahne ke liye chini or namak se parhej karna chahiye. 





Iske alawa wah din me 4 - 5 liter pani pite he. Jisse sharir me water level maintain rahta he. Akshay Kumar chai or coffee ka sewan bhi bilkul nahi karte he. 





Toh ager aap bhi apni jindgi me ek behter swasth or lambe samay tak khud ko fit or smart bnaye rakhna chahte he to aaj se hi aap bhi inn rules ko apna lijiye or sakhti se inka palan bhi kijiye :



Bollywood actor akshay kumar ne man ki baat ke ek episode me bataya ki unhe jim jana pasand nahi he. Wo fitness ke liye desi kasrat karna jese - Running, Swimming, Badminton, Playing ye sabhi pasand karte he. Akshay Kumar rojana yog or meditation bhi karte he, unhone marshal arts me black belt ki degree bhi hasil ki he, jo ki unke fit rahne ki dusri wajah he. 



In Sabhi Sharirik Or Mansik Activities Ke Labh  -



Kasrat Karne Ke Fayde :

Kasrat sharirik swasth ko behter banati he, manspeshiyo ko majbuti deti he, or overall fitness badati he. Kasrat karke mansik swasth ko behtar kiya jaa sakta he. Yah tanav ko kam karne me bhi sahayak he. Kasrat hamare sharir ke liye bhot jaruri he. Yah hamare sharir ko bimariyo se bachati he, hum ise subah ya sham kabhi bhi kar sakte he. Per dhyan rakhe kasrat karte samay pet puri tarah se khali na ho or naa hi bhot jyada bhara hua ho. Halka - fulka nashta karke hi hum koi bhi exercise kar sakte he. 



Dodne Se Hone Wale Fayde :

Dodna ek achi aadat he. Yah aapke swasth or jivan ko puri tarah se badal sakti he. Agar aap din me or bhi kuch exercise karte he to sirf 15 minute ki dodh bhi aapke liye chamatkari sabit hogi. Yah apke ♥ ko healthy rakhne me sahayak he. Dodne se blood serkulation behtar hota hai, jisse heart jyada prabhavi dhang se kaam karta he yah high blood pressure ke jokhim ko kam karne me madadgar he.


Dodna calorie burn karne ka ek behtareen tarika he. Isse teji se fat burn kiya jaa sakta he, khas kar pet ki charbi burn karne me. Itna hi nahi subah ki dodh apko din bhar urja wan banaye rakhti he. Yah aapke sharir ko oxyzon or poshak tatwo ki aapurti badhane me madad karti he. Jisse aap khud ko urjawan mehsoos karte he. 



Swimming Sharir Ke Liye Kitna Faydemand :


Kabhi kabhi log ek hi tarah ki exercise kr kr ke bor ho jate he. Kuch naya karne ke liye hum swimming bhi kar sakte he. Swimming na sirf sharir balki mansik shanti ke liye bhi bahut fayde mand hoti he. Swimming karne se hamara mood fresh rahta he, sath hi tanav se bhi rahat milti he. Rojana swimming karne se sharir lachila hone ke sath - sath furtila bhi banta he. Roj 20 minute swimming karne se haddiyo ka dard dur hota h. Swimming karne se vyakti lambe samay tak khud ko swasth rakh sakta he. 



Badminton Se Hone Wale Fayde :


Ager apke pas jim jane ka time nhi he or ager apko badminton khelna pasand he to bhi aap ise khel ker apne sharir ko fit or aakarshak bana sakte he. Badminton khelne se bhi aapke sharir ki achi khasi kasrat ho jayegi. Jisse apke sharir ko dher sare labh bhi honge. Ek din me sirf 35 minute ka badminton hi apke swasth me 4 chand laga sakta he. Rojana 30 - 40 minute badminton khelne se masals majboot hoti he or sharir shape me aata he. Lagatar dodne, uchalne or hath per chalane se apki masals tone ho jati he. Isse kandhe or baahe majbut hote he. Badminton hamare lever, kidney or ridhay ke swasth ke liye verdan sabit ho sakta he. 



Yog Se Hone Wale Labh :



Bharat me yog hajaro saal purana he lekin abhi yah jyada chalan me aaya he. Isse hame unginat labh milte he. Yah hamare man ko santushti or khushi pradan karta he. Yah vyayam ka hi ek paramparik roop he jo na sirf calorie ko kam karne or manspeshyo ko majboot karne me sahayak he, balki ye hamare sharir ke sath - sath dimag ko bhi shant karta he. Aj kal log fit rahne ke liye jim se jyada yog ko pasand karne lage he. 

Yah sharir ki takat, santulan or lachile pan me sudhar karta he. Yog karne se sharir ka lachila pan badhta he. Jisse apko sharir me halka pan or lachila pan mehsoos hota hai. Yog se hamari twacha me chamak aati he. Or life style me sudhar aata he. Aaj Dunia ki aadhi se jyada aabadi motape ka shikar he. Halanki ise apni jivan sheli me shamil karke hum motape ko niyantrit kar sakte he. 



Dhyan Ke Labh :


Dhyan jo ki ek esi kala he jisse man ko kam samay me shant kiya ja sakta he.Dhyan karke 20 minute me hi aap man me gahan vishram ka anubhav karte he. Dhyan ko jab pure man se kiya jata he to hame anek labh milne lagte he. 



Dhyan Ke 9 Vyavharik Labh :

1. Focus Badhta He : 


Meditation ya dhyan karne se man ka focus badhta he. Man sthir rahta he. Jisse hum aasani se her fild me safalta hasil kar sakte he. 



2. Man Ki Nakaratmakta Dur Hoti He :


15 minute ka meditation hamare man se chid chidapan, gussa, negative khyal se hame chutkara dilata he. Yah apko apne emotions ko behtar dhang se samajhne or control karne me madad karta he. 



3. Acchi Nind Aana :


Ager apko asani se nind nahi aati he to meditation apki gehri nind me sahayak hoga. Meditation karne se man shant hota hai jisse hame achi nind aati he. Kai logo ko sone ke liye dawaiyo ki jarurat padti he aap meditation karke dawaiyo ko dhere dhere kam or phir band kar sakte he. 



4. Blood Pressure Me Sudhar :


Meditation sharir ko aaram deta he or blood pressure ko control karta he, jisse ♥ ki bimariyo ka khatra kam hota hai. 



Vyasno Se Ladne Me Madad :


Dhyan ke madhyam se aap mansik anushashan viksit kar sakte he. Jo ki apke aatm niyantran ko badhane or nashe ki lat vyavharo ke liye triggers ke bare me jagrukta badha kar apki nirbharta ko kam karta he. Iske alawa dhyan logo ko apna dhyan punarnirdeshit karne, unki bhavnao or aavego ko prabandhit karne or unke karno ke bare me samajh badhata he. 



Smriti Hani Kam Karna :


Dhyan se sochne samajhne ki shamta me vriddhi hoti he, jisse man ki spashtta badhati he. Yah hamare man ko umer ke prabhav se dur karke mansik rup se hame yuwa banaye rakhta he. Adhyayan se pata chala he ki yah neurosycolozycle parikshano per pradarshan me sudhar kar sakta he. 



Aatm Jagrukta Badhana :



Aatm - janch dhyan ka spasht roop se uddeshy he ki aap apne bare me adhik samajh viksit kare or aap apne aas - pass ke logo se kese sambandhit he, arth yah he ki yah apne sochne ki aadato me adhik jagrukta lata he. 



Sakaratmak Bhavnao Me Vriddhi :



Dhyan se man ki bhavnao ko niyantrit kiya ja sakta he jisse dusro ke prati daya, prem, samman or dhery jesi bhavnao me vriddhi hoti he. 



Mansik Tanav Se Chutkara :



Dhyan man ke tanav ko kam karne me sahayak he. Aam tor per mansik tanav harmon cortisone ke star me vriddhi ka karan banta he. Yah tanav ke  kai hanikarak prabhavo ka utpadan karta he, jese ki sytokins namak inflemetry rasayano ki rihai ye prabhav nind ko badhit kar sakte he. Avsad or chinta ko badhawa de sakte he. Rakt chap badha sakte he.Kai adhyano me kaha gaya he ki dhyan karne se tanav se mukti mil sakti he. 



Hamari post apko ek samany jankari pradan karti he. Vachi News me kisi prakar ka koi dawa nahi kiya gaya he. Ager apko koi bhi sharirik / mansik taklif he to aap chikitsak ki salah jarur le. Dhanywad. 































































Bollywood Ka Sabse Handsome Ladka Kon He ?

Bollywood ka sabse handsome ladka Aarav Bhatia he, aarav bohot attractive he.